Wo kehti thi mere bina reh nahi payegi,
Aaj mere bina har pal ka jashn manati hai,
Kehti thi wo ki meri muskurahat pasand hai,
Aaj mere aansuon ko bhi dekhti tak nahi,
Wo taakti thi meri raah har pal,
Aaj mujhe dekh nazre fer leti hai,
Wo kehti thi meri kavita use pasand hai,
Aalam ab ye hua ki apna ek bhi lafz us ko suna nahi sakta,
Sada mere saath rehne ka vaada karti thi wo,
Kaise ek pal mein badal gayi main bata nahi sakta,
Jise chaha maine itna toot kar,
Woh chali gayi meri khushi loot kar,
Shayad yahi pyar ki reet rahi hogi,
Ya fir meri haar ki feharist mein, bas ek aur pankti judi hogi...